03 May, 2008

Excuse Me, Kya re (STYLE)

Album / Movie
STYLE
Singers
NITIN RAIKWAR, NISHA, AND SIMMIE
Lyricist
??
Composer
??
Year
??

Singer Version

-MALE--
Excuse me

--FEMALE 1--
Kya re

--MALE--
Mera dil tere pe fidaa re
Excuse me

--FEMALE 1--
Kya re

--MALE--
Mera dil tere pe fidaa re
Bus stop pe dekha tujhe pehli baar
Jhatke mein ho gaya tere se pyaar
Bolta hoon main sachchi baat
Samajh mat isko bakwaas kya

--FEMALE 1--
Excuse me

--MALE--
Haan, bol na

--FEMALE 1--
Main pehle se shaadi shudaa re

--MALE--
Excuse me

--FEMALE 2--
Kya re

--MALE--
Mera dil tere pe fidaa re
Excuse me

--FEMALE 2--
Kya re

--MALE--
Mera dil tere pe fidaa re
Airport pe dekha tujhe pehli baar
Flight mein ho gaya tere se pyaar
Bolta hoon main sachchi baat
Please try to understand me yaar

--FEMALE 2--
Excuse me

--MALE--
Kya re

--FEMALE 2--
Main do bachon ki maa re

--MALE--
Uh?

Abhi to hoon saala roadpati
Ladki chaahoon karodpati
Jiske das baarah bangle ho
Banna chaahoon main uska pati
Uske paas Ferari ho
Jis mein meri sawaari ho
Foreign voreign main ghoomoon
NRI ki voh chhori ho
Hogi kahan aisi ladkiyaan
Dhoondoon kahan unko
Excuse me

--FEMALE 1--
Kya re

--MALE--
Mera dil tere pe fidaa re
Excuse me

--FEMALE 1--
Kya re

--MALE--
Mera dil tere pe fidaa re
Race course mein dekha tujhe pehli baar
Counter pe ho gaya tere se pyaar
Bolta hoon main sachchi baat
Samajh mat bakwaas yaar

--FEMALE 1--
Excuse me

--MALE--
Kya re

--FEMALE 1--
Police mein hai mera miyaan re

--MALE--
Hey, rang se kya lena hai
Paise waali paana hai
Kya karoon main bhi yaaron
Mehnga bada zamaana hai
Ghar jamaai ban jaaoon
Baithkar mewa khaaoon
Uske baap ke paison ko
Apni jeb se lutwaaoon
Hogi kahan aisi titliyaan
Dhoondoon kahan unko
Excuse me

--FEMALE 2--
Kya re

--MALE--
Mera dil tere pe fidaa re
Excuse me

--FEMALE 2--
Kya re

--MALE--
Mera dil tere pe fidaa re
Barsaat mein dekha tujhe pehli baar
Chhaate mein ho gaya tere se pyaar
Bolta hoon main sachchi baat
Kabhi to samjha kar yaar

--FEMALE 2--
Excuse me

--MALE--
Bol re

--FEMALE 2--
Dekhe hai mera piya re

--MALE--
Excuse me

--FEMALE 1--
Kya re

--MALE--
Mera dil tere pe fidaa re
Excuse me

--FEMALE 1--
Kya re

--MALE--
Mera dil tere pe fidaa re
Theater mein dekha tujhe pehli baar
Interval mein ho gaya tere se pyaar
Bolta hoon main sachchi baat
Arre tu to maan jaa

--FEMALE 1--
Excuse me

--MALE--
Yes please

--FEMALE 1--
Ban jaa mera bhaiya re

Poet Version
??

Composer Version
??

No comments: