Showing posts with label Talat aziz. Show all posts
Showing posts with label Talat aziz. Show all posts

18 January, 2008

Na Kisi Ki Aankh Ka Noor Hoon

Album / Movie
SHARARAT
Singers
TALAT AZIZ
Lyricist
??
Composer
??
Year
??

Singer Version

Na Kisi Ki Aankh Ka Noor Hoon
Na Kisi Ki Aankh Ka Noor Hoon
Na Kisi Ke Dil Ka Karar Hoon
Jo Kisi Ke Kaam Na Aa Sake
Main Woh Ek Musth-E-Gubaar Hoon
Na Kisi Ki Aankh Ka Noor Hoon

Mera Rang Roop Bigad Gaya
Mera Yaar Muhjse Bichad Gaya
Jo Chaman Fiza Mein Ujad Gaya
Main Usi Ki Faasle Bahar Hoon
Na Kisi Ki Aankh Ka Noor Hoon
Na Kisi Ke Dil Ka Karar Hoon

Main Kahan Rahoon Main Khahan Basu
Na Yeh Mujhse Khush Na Woh Mujhse Khush
Main Zamin Ki Peet Ka Boj Hoon
Main Falak Ke Dil Ka Gubaar Hoon
Na Kisi Ki Aankh Ka Noor Hoon

Pade Faatiha Koyi Aaye Kyon
Koyi Chaar Phool Chadaye Kyon
Koyi Aake Shama Jhalaye Kyon
Koyi Aake Shama Jhalaye Kyon
Main Woh Be-Kasi Ka Mazaar Hoon
Na Kisi Ki Aankh Ka Noor Hoon
Na Kisi Ke Dil Ka Karar Hoon
Jo Kisi Ke Kaam Na Aa Sake
Main Woh Ek Musth-E-Gubaar Hoon
Na Kisi Ki Aankh Ka Noor Hoon


Poet Version
??

Composer Version
??

09 January, 2008

wafaa jo tumase(daddy)

Album / Movie
DADDY
Singers
TALAT AZIZ
Lyricist
??
Composer
??
Year
??

Singer Version

wafaa jo tumase kabhee mainne nibhaaee hotee
umar naa muft mein sadkon pe gawaaee hotee

saanp yaadon ke hain dasate muze har shaama-o-sahar
ye jo sote to muze neend bhee aayee hotee
teree chaukhatase jo us roj naa aayaa hotaa
main khudaa hotaa, duniyaan pe khudaee hotee

hotee gairat to tere saath hee mar jaate sajan
laash kaandhon pe yoon apanee naa uthhaayee hotee
haath kyaa aayaa mere yek siyaahee ke siwaa
dekhane haal meraa too bhee tab aayee hotee

Poet Version
??

Composer Version
??

08 January, 2008

zindagi jab bhi teri bazm mein (Umrao jaan)

Album / Movie
Umrao jaan
Singers
Talat aziz
Lyricist
??
Composer
??
Year
??

Singer Version

zindagi jab bhi teri bazm mein laati hai hamen
ye zamin chand se behatar nazar aati hai hamen

surkh phulon se mahak uthati hain dil ki rahen
din dhale yun teri aawaz bulaati hai hamen

yaad teri kabhi dastak kabhi saragoshi se
raat ke pichhale prahar roz jagaati hai hamen

har mulaqat ka anjaam judai kyun hai
ab to har vaqt yahi baat satati hai hamen




Poet Version
??


Composer Version
??