03 May, 2008

Ek Saathi Aur Bhi Thaa (LOC)

Album / Movie
LOC
Singers
SONU NIGAM
Lyricist
??
Composer
??
Year
??

Singer Version

Ek Saathi Aur Bhi Thaa

Khaamosh Hai Jo Ye Vo Sadaa Hai
Vo Jo Nahin Hai Vo Kah Rahaa Hai
Saathiyon Tumko Mile Jeet Hi Jeet Sadaa
Bas Itnaa Yaad Rahe Ek Saathi Aur Bhi Thaa
Jaao Jo Laut Ke Tum Ghar Ho Khushi Se Bharaa

Kal Parvaton Pe Kahin Barsi Thi Jab Goliyaan
Ham Log The Saath Mein Aur Hausle The Javaan
Ab Tak Chattaanon Pe Hain Apne Lahoo Ke Nishaan
Saathi Mubaarak Tumhein Ye Jashn Ho Jeet Kaa
Bas Itnaa Yaad Rahe Ek Saathi Aur Bhi Thaa

Kal Tumse Bichhadi Huee Mamtaa Jo Phir Se Mile
Kal Phool Chehraa Koi Jab Tumse Milke Khile

Paao Tum Itni Khushi Mit Jaayein Saare Gile
Hai Pyaar Jinse Tumhein Saath Rahe Vo Sadaa
Bas Itnaa Yaad Rahe Ek Saathi Aur Bhi Thaa

Jab Aman Ki Baansuri Goonje Gagan Ke Tale
Jab Dosti Kaa Diyaa In Sarhadon Pe Jale
Jab Bhool Ke Dushmani Lag Jaaye Koi Gale
Jab Saare Insaano Kaa Ho Ek Hi Kaafilaa
Bas Itnaa Yaad Rahe Ek Saathi Aur Bhi Thaa
Jaao Jo Laut Ke Tum Ghar Ho Khushi Se Bharaa
Bas Itnaa Yaad Rahe Ek Saathi Aur Bhi Thaa
Bas Itnaa Yaad Rahe Ek Saathi Aur Bhi Thaa

Poet Version
??

Composer Version
??

No comments: