18 April, 2008

To Chalun (BORDER )

Album / Movie
BORDER
Singers
ROOP KUMAR RATHOD
Lyricist
??
Composer
??
Year
??

Singer Version
Ae jaate hue lamhon zara thehro, zara thehro - 2
Main bhi to chalta hoon, zara unse milta hoon
Jo ek baat dil mein hai, unse kahoon
(To chalun, to chalun, hm hm hm hm hm
To chalun, to chalun, to chalun) - 2
Ae jaate hue lamhon zara thehro, zara thehro
(Unke chehre ki yeh narmiyaan
Unki zulfon ki yeh badliyaan
Unki aankhon ke roshan diye
Unke honton ki yeh surkhiyaan) - 2
Sab unke hain jalwe, main chalne se pehle
Saanson mein, aankhon mein, khwaabon mein, yaadon mein
Aur is dil mein unko chhupaake rakhoon
To chalun, to chalun, hm hm hm hm hm
To chalun, to chalun, to chalun
Ae jaate hue lamhon zara thehro, zara thehro
(Main kahin bhi rahoon ae sanam
Mujhko hai zindagi ki kasam
Faaslein aate jaate rahe
Pyaar lekin nahin hoga kam) - 2
Jinhe chaahoon, jinhe poojoon, unhe dekhoon, unhe chhoo loon
Zara baatein to kar loon, zara baahon mein bhar loon
Main is chaand se maathe ko choom loon
To chalun, to chalun, hm hm hm hm hm
To chalun, to chalun, to chalun
Ae jaate hue lamhon zara thehro, zara thehro
Main bhi to chalta hoon, zara unse milta hoon
Jo ek baat dil mein hai, unse kahoon
To chalun, to chalun, hm hm hm hm hm
To chalun, to chalun, to chalun

Poet Version
??

Composer Version
??

No comments: