CHOR AUR CHAND
Singers
KUMAR KANCHA, ANURADHA PAUDWAL
Lyricist
??
Composer
??
Year
??
Singer Version
Kancha:
hey hey hey hey, hey hey hey, hey hey hey
la la la la, la la la, la la-la
(tere binaa main na rahoon, mere binaa tu na rahe
ye qasam yahin le sanam) -2
Anu:
pyaar kahe meraa o jaanejaanaa, bas mein agar ho ye mere
saaNsoN ke jaise guzarti rahoon main, chhoo kar labon ko tere
ho..
Kancha:
tere binaa main na rahoon, mere binaa tu na rahe
ye qasam yahin le sanam -2
tu meri jaan hai, meraa armaan hai
teraa ghar meraa dil hai, ye jahaan nahin
Anu:
dil ye betaab hai, tu meraa khvaab hai
meri palkon se door kyun rahe kahin
Kancha:
ho.. ab to koi faaslaa mujhe nahin ganvaaraa
Anu:
chhod doon jahan agar mile teraa ishaaraa
Kancha:
tere bina main na rahoon, mere binaa tu na rahe
ye qasam yahin le sanam -2
Anu:
pyaar kahe meraa o jaanejaanaa, bas mein agar ho ye mere
saanson ke jaise guzarti rahoon main, chhoo kar labon ko tere
ho..
Kancha:
tere binaa main na rahoon, mere binaa tu na rahe
ye qasam yahin le sanam -2
Anu:
O ho kahoon main baanvri, main banoon baansuri
tere honthon se lagoon preet churaa loon
Kancha:
teraa aanchal banoon, tan se liptaa rahoon
teri dhadkan kaa main har geet churaa loon
Anu:
O.. apne pyaar ko jahaan ki nazar lage na
ye nashaa rahe to zindagi safar lage na
Kancha:
tere binaa main na rahoon, mere binaa tu na rahe
ye qasam yahin le sanam -2
Anu:
pyaar kahe meraa o jaanejaanaa, bas mein agar ho ye mere
saanson ke jaise guzarti rahoon main, chhoo kar labon ko tere
ho..
Kancha:
tere binaa main na rahoon
Anu:
mere binaa tu na rahe
ye qasam yahin le sanam, o.. ye qasam yahin le sanam
ye qasam yahin le sanam, hey.. ye qasam yahin le sanam
ho o ye qasam yahin le sanam, haa aa.. ye qasam yahin le sanam
Poet Version
??
Composer Version
??
No comments:
Post a Comment