AMAN (ALBUM)
Singers
PANKAJ UDHAS
Lyricist
??
Composer
??
Year
??
Singer Version
Shaam ki laali, raat ka kajal
Shaam ki laali, raat ka kajal, subah ki taqdeer ho tum
Chalta phirta tajmahal, saansen leta kashmir ho tum
Ho chalta phirta tajmahal, saansen leta kashmir ho tum

Saanson mein satlaj ki lahren, tat choo lene ko betaab

Gaalon mein gehoon ki khusboo, ghoonghat mein sara punjab,
ghoonghat mein sara punjab
Roopmati ek baat batao, kis ranjhe ki heer ho tum
Chalta phirta tajmahal, saansen leta kashmir ho tum
Ho chalta phirta tajmahal, saansen leta kashmir ho tum
Har khusboo har rang tumhi se, tumse mausam mausam hai

Is bikhri bikhri duniya mein, ye rishta bhi kya kum hai,
ye rishta bhi kya kum hai
Main hoon ghar ka san-nata, baatein karti tasveer ho tum
Chalta phirta tajmahal, saansen leta kashmir ho tum
Ho chalta phirta tajmahal, saansen leta kashmir ho tum
Jiske roop ka saya dole champa par chameli par

Usha sajda karne utre jiksi laal hatheli par,
jiksi laal hatheli par
Us dil ki kya kismat hogi, jis dil ki jaagir ho tum
Chalta phirta tajmahal, saansen leta kashmir ho tum
Ho chalta phirta tajmahal, saansen leta kashmir ho tum
Shaam ki laali, raat ka kajal, subah ki taqdeer ho tum
Chalta phirta tajmahal, saansen leta kashmir ho tum
Ho chalta phirta tajmahal, saansen leta kashmir ho tum
Ho chalta phirta tajmahal, saansen leta kashmir ho tum
??
Composer Version
??
No comments:
Post a Comment