26 April, 2008

Maine maan ko dekha hai(Mastana)

Album / Movie
Mastana
Singers
Lata Mangeshkar
Lyricist
??
Composer
??
Year
??

Singer Version

Maine maan ko dekha hai
Dekha hai maan ko dekha hai
Maan ka pyaar nahi dekha
Maine maan ko dekha hai
Maan ka pyaar nahi dekha
Maine phool to dekhe hain
Dekhe hain phool to dekhe hain
Phoolon ka haar nahi dekha

Maine maan ko dekha hai
Maan ka pyaar nahi dekha
Maine maan ko dekha hai

Vaise to ghar main maan ki tasveer hai -2
Lekin meri kab aisi taqdeer hai
Kabhi jo ghabraun, gale se lag jaaon
Agar na neend aaye, lo lori vo gaye
Meri mann jiska pyasa hai
Pyasa hai jiska pyasa hai
Vo laad dulaar nahi dekha

Maine maan ko dekha hai
Maan ka pyaar nahi dekha
Maine maan ko dekha hai

Vaise to meri maan ka dil koi saqt nahi -2
Par uske paas jara bhi waqt nahi
Hai uska naam bada, hai usko kaam bada
Vo devi mamta ki, hai leader junta ki
Maan ke photo ke bina
Bina ji photo ke bina
Koi akhbaar nahi dekha

Maine maan ko dekha hai
Maan ka pyaar nahi dekha
Maine maan ko dekha hai

Pyaari pyaari hai vo bholi aisi hai -2
Pan aaya se poochha ki baby kaisi hai
Meri maan sachi hai
Badi hi achhi hai
Yeh uska dosh nahi
Use kuch host nahi
Main ne duniya dekhi hai
Dekhi hai duniya dekhi hai
Ghar sansaar nahi dekha

Maine maan ko dekha hai
Maan ka pyaar nahi dekha
Maine phool to dekhe hain
Dekhe hain phool to dekhe hain
Phoolon ka haar nahi dekha

Maine maan ko dekha hai

Poet Version
??

Composer Version
??

No comments: