25 April, 2008

Main Shaayar To Nahin(Bobby)

Album / Movie
Bobby
Singers
Shailendra Singh
Lyricist
??
Composer
??
Year
??

Singer Version
Main shaayar to nahin
(Main shaayar to nahin, magar ae haseen
Jab se dekha maine tujhko
Mujhko shaayari aa gayi) - 2
Main aashiq to nahin, magar ae haseen
Jab se dekha maine tujhko
Mujhko aashiqui aa gayi
Main shaayar to nahin
(Pyaar ka naam maine suna tha magar
Pyaar kya hai, yeh mujhko nahin thi khabar) - 2
Main to uljha raha uljhanon ki tarha
Doston mein raha dushmanon ki tarha
Main dushman to nahin
Main dushman to nahin, magar ae haseen
Jab se dekha maine tujhko
Mujhko dosti aa gayi
Main shaayar to nahin
(Sochta hoon agar main dua maangta
Haath apne uthaakar main kya maangta) - 2
Jab se tujhse mohabbat main karne laga
Tab se jaise ibaadat main karne laga
Main kaafir to nahin
Main kaafir to nahin, magar ae haseen
Jab se dekha maine tujhko
Mujhko bandagi aa gayi
Main shaayar to nahin, magar ae haseen
Jab se dekha maine tujhko
Mujhko shaayari aa gayi
Main shaayar to nahin

Poet Version
??

Composer Version
??

No comments: