one_2_ka_4
Singers
ALKA YAGNIK AND UDIT NARAYAN
Lyricist
??
Composer
??
Year
??
Singer Version
--FEMALE--
(Sona nahi na sahi, chandi nahi na sahi
Fikar kya hai, main hoon na tere liye) - 3
--MALE--
Oh, magar jag mein meri jaan koi dil ki tamanna
Mohabbat ke siva bhi hai mere liye
Tere mere liye
--FEMALE--
Sona nahi, chandi nahi, magar jag mein
--MALE--
Meri jaan
--FEMALE--
Koi dil ki
--MALE--
Tamanna
--FEMALE--
Mohabbat ke siva nahi tere liye
--MALE--
Tere tere liye
--FEMALE--
Pyaar main hoon, pyaar tu hai maan jaao dilrooba
Saare jag mein kuch nahi hai ek tere mere siva
--MALE--
Maanta hoon sanam, pyaar hi hai zindagi
Kya karoon dil mein thi baat koi aur hi
--FEMALE--
Arre jo bhi hai voh sab galat hai, maan jaao dilrooba
Saare jag mein kuch nahi hai ek tere mere siva
--MALE--
Arre chalo maana bahes kya hai, mohabbat hi sach hai yaar
--FEMALE--
Karoge tum, haan karoge tum sajan mujhse
Karoongi main tumse pyaar
--MALE--
Chalo sona nahi na sahi, chandi nahi na sahi
Fikar kya hai tu hai na mere liye
Hai na mere liye
--CHORUS--
Sajan sun na, jaane tamanna
Sajan sun na, jaane tamanna, tere liye
--FEMALE--
Sona nahi, chandi nahi
Sona nahi na sahi, chandi nahi
Fikar kya hai main hoon na tere liye
--MALE--
Ho, tirchi nazron se na dekho aashiqe dilgir ko
Kaise teer andaz ho, sidha to karlo teer ko
--FEMALE--
Voh bada tez hai jo deewana hai mera
Hoon ussi ki shikaar, jo nishaana hai mera
--MALE--
To kholo zulfein inki khushboo se mahek jaaoon zara
Gore tan ki chandni se phir chamak jaaoon zara
--FEMALE--
Chalo do pal hum ek duje mein kho jaaye is tarah
--MALE--
Bahut din ke taraste lab lipat jaaye jis tarah
--CHORUS--
Sajan sun na, jaane tamanna
Sajan sun na, jaane tamanna, mere liye
Sona nahi na sahi, chandi nahi na sahi - 2
Sona nahi, aah aah aah, chandi nahi, aah - 2
??
Composer Version
??
No comments:
Post a Comment