sholay
Singers
KISHORE KUMAR, MANNA DEY, BHUPINDER, ANAND BAKSHI, OTHERS
Lyricist
??
Composer
??
Year
??
Singer Version
Shuru hota hai phir baato ka mausam
Suhaani chaandni raato ka mausam
Bujhaaye kis tarha dil ki lagi ko
Lagaaye aag ham is chaandni ko
Ke chaand sa koyi chehra na pehlu mein ho
Arz kiya hai ...
Haay, ke chaand sa koyi chehra na pehlu mein ho
To chaandni ka maza nahi aata
Arre, jaam pee kar sharaabi na gir jaaye to -2
Maikashi ka maza nahi aata
Ke chaand sa koyi chehra ...
Zindagi hai mukammal adhuri nahi
Chaand sa koyi chehra zaroorii nahi
Husn saiyyaad hai, ishq fariyaad hai
Ye jo do naam hain, dono badnaam hain
Tum to naadaan ho, gham ke mehmaan ho
Dil zara thaam lo, aql se kaam lo
Agar aaj roshni hoti hai saahab sab chiraagho se
Zara sa farq hota hai dilo mein aur dimaago mein
Eh mere dosto, aql se kaam lo
Baat dil ki karo
kyu ke...
Sher dil ko na tadpaake rakh de agar
To shaayari ka maza nahi aata
Ke chaand sa koyi chehra ...
Sharbati aankh ke dushmano se bacho
Reshmi zulf ki uljhano se bacho
Woh gali chhod do, ye bharam tod do
Yu na aahein bharo, in se tauba karo
Ye jo dildaar hain, sab sitamgar hain
Dil jo dete hain ye, to jaan lete hain ye
Wafa ke naam ko aashiq kabhi ruswa nahi karte
Kata dete hain woh sar ko kabhi shikwa nahi karte
Dil machal jaane do, teer chal jaane do, dam nikal jaane do
Aur, maut se aadmi ko agar darr lage
To zindagi ka maza aata nahi
Ke chaand sa koyi chehra ...
Ishq mein yaad kuchh aur hota nahi
Aashiqui khoob ki, dil se mehboob ki
Yaad jaati nahi, neend aati nahi
Dard khilta nahi, chain milta nahi
Ya khuda kya kare, ham dawa kya kare
Dawa dard-e-jigar ki poochhte ho tum diwaane se
Ye dil ki aag bujhegi faqat aansoo bahaane se
Ye sitam kis liye, gham ho kam kis liye, roye ham kis liye
Kyu ke...
Aag par koyi paani agar daal de
To dillagi ka maza aata nahi
Ke chaand sa koyi chehra ...
??
Composer Version
??
No comments:
Post a Comment