09 January, 2008

Yeh kaisa hai shaher(Paanch)

Album / Movie
PAANCH
Singers
DOMNIQUE
Lyricist
??
Composer
??
Year
??

Singer Version

Kya din kya raat hai yahaan par, ki saala dono baraabar -2
Na raaste kabhi ho khaali, na bandh hoti hai gaali
Maa behan ki yaad sab ko aati har paher
Halla gulla shor gul ye kaisa hai shaher
Kya din kya raat hai yahaan par, ki saala dono baraabar
Na raaste kabhi ho khaali, na bandh hoti hai gaali

Saanson mein laakhon karodo ki saansein khuli
(Ghut raha hai dum ghutansi ho rahi hai)
Phir bhi savere akeli hain ankhein khuli
Koyi aaj, mil hi jaayega, chehera jaane pehne kaunsa
Dar se, nikle dhhundhhe ghar hai kaha
(Kya din kya raat hai yahaan par, ki saala dono baraabar
Na raaste kabhi ho khaali, na bandh hoti hai gaali)

Kya din, kya raat
Kiske liye raah chalte ye jhoothhi hansi
(Chhod na kissi ko kuch nahin padi)
Kaise sahe telephone ki khaamoshi
Sune, bistaron par so rahe, bhooli khushboowein ko ro rahe
Neeche, sadakein, kehti hai aa kud ja
(Kya din kya raat hai yahaan par, ki saala dono baraabar
Na raaste kabhi ho khaali, na bandh hoti hai gaali
Maa behan ki yaad sab ko aati har paher
Halla gulla shor gul ye kaisa hai shaher)
Kya din kya raat hai yahaan par, ki saala dono baraabar
Na raaste kabhi ho khaali, na bandh hoti hai gaali

Poet Version
??

Composer Version
??

No comments: