CID
Singers
MOHAMMAD RAFI AND GEETHA DUTT
Lyricist
??
Composer
??
Year
??
Singer Version
Rafi:
Aye dil hai mushkil jeena yahan
Zara hat ke zara bach ke, yeh hai Bombay meri jaan
Ha haa, ha ho ho, ho hi haa ha haa
Hm hm hm hm, hm hm hm , hm hm hm hm hm
Aye dil hai..
(Kahin building kahin traame, kahin motor kahin mill
Milta hai yahan sab kuchh ik milta nahin dil) -2
Insaan ka nahin kahin naam-o-nishaan
Zara hat ke zara bach ke, yeh hai Bombay meri jaan
Aye dil hai..
(Kahin satta, kahin patta kahin chori kahin res
Kahin daaka, kahin phaaka kahin thokar kahin thes) -2
Bekaaro ke hain kai kaam yahan
Zara hat ke zara bach ke, yeh hai Bombay meri jaan
Aye dil hai..
(Beghar ko aawara yahan kehte has has
Khud kaate gale sabke kahe isko business) -2
Ik cheez ke hain kai naam yahan
Zara hat ke zara bach ke, yeh hai Bombay meri jaan
Aye dil hai..
(Bura duniya woh hai kehta aisa bhola tu na ban
Jo hai karta woh hai bharta hai yahan ka yeh chalan) -2
Tadbeer nahin chalne ki yahan
Yeh hai Bombay, yeh hai Bombay, yeh hai Bombay meri jaan
Rafi:
Aye dil hai mushkil jeena yahan
Zara hat ke zara bach ke, yeh hai Bombay meri jaan
Geeta:
Aye dil hai aasaa jeena yahan
Suno mister, suno bandhu, yeh hai Bombay meri jaan
Rafi:
Aye dil hai mushkil jeena yahan
Zara hat ke zara bach ke, yeh hai Bombay meri jaan
Poet Version
??
Composer Version
??
No comments:
Post a Comment