09 January, 2008

Wohi Din Aa Gaya(kisna)

Album / Movie
KISNA
Singers
ALKA YAGNIK AND SUKHWINDER SINGH
Lyricist
??
Composer
??
Year
??

Singer Version

Gori ke haathon mein mehendi lagaao
Uptan se ang ang mehkao
chanda jaise mathe pe jhoomar sajaao
Heeronwale motiwale kangana pehnao

Gori ke haathon mein mehendi lagaao
Uptan se ang ang mehkao

Aagaya aagaya wohi din aagaya
Meri sooni si raaton ne dekha tha jis din ka
sapna sajana sajana sajana sajana

Aagaya aagaya wohi din aagaya
Jis din leke doli tere angna aayenge sajana
sapna sajana sajana sajana sajana

Phoolon se khusbu, kaliyon se rang leke
Sajna ki sajni saji haule haule
Hoton pe laali rachi haule haule

Aanchal se hai jhalakta gori ka roop jaise
Badal se chan rahi ho, Subah ki dhoop jaise

Sajni tujhko jis pal tere sajna dekhenge
Mehendiwale pairo par dil apna rakh denge

Aagaya aagaya wohi din aagaya
Jis din leke doli tere angna aayenge sajana
sapna sajana sajana sajana sajana

More angana sajana aayo re - 2
Main preet jo apni paayo re - 2
Main to jaise bauraayi gayi - 2
Tan jhoom gayo mann gayo re - 2

Tan mann mein se jaise koi jwala si behti hai
Pighle hai ang ang dheeme dheeme
Chaya hai mera rang dheeme dheeme
Jalte hai hoth mere kaisi hai pyaas jaagi
Jaagi jaagi jaagi
Ankhon main hai dhuan sa
Mann main hai agan lagi
Laagi laagi laagi
Saanson main kaisi aandhi hai, kaisa toofan hai
Betabi bechaini hai tera hi armaan hai

Aagaya aagaya wohi din aagaya
Jis din leke doli tere angna aayenge sajana
sapna sajana sajana sajana sajana

Haryali banni ke, Haryali banne
Raste mein tere bichchen heere moti panne
Banna banni duniya ke saare sukh paaven
Pooton woh phale aur doondon woh nahaaven

Haryali banni ke, Haryali banne
Raste mein tere bichchen heere moti panne

Kisna mere kisna


Poet Version
??

Composer Version
??

No comments: