INDIAN
Singers
ROOP KUMAR RATHOD
Lyricist
??
Composer
??
Year
??
Singer Version
--MALE--
Watan waalon, watan na bech dena
Yeh dharti yeh gagan na bech dena
Shaheedon ne jaan di hai watan ke vaaste
Shaheedon ke kafan na bech dena
Doston, saathiyon hum chale
De chale apna dil, apni jaan
Taake jeeta rahe, apna Hindustan
Hum jiye, hum mare is watan ke liye
Is chaman ke liye
Taake khilte rahe gul hameshaa yahan
Doston, saathiyon
--CHORUS--
Doston se milo doston ki tarah
Dushmanon se milo dushmanon ki tarah
Jeena kya, marna kya, buzdilon ki tarah
Keh raha yeh watan, yeh zameen aasmaan
--MALE--
Maaon ne apne bete diye
Naujawaan sochkar aur kya
Taake jeeta rahe apna Hindustan
--CHORUS--
Maatrabhoomi ka dil tu nahin todna
Desh ke dushmanon ko nahin chhodna
Marna jeena tujhe is watan ke liye
Farz apna nibhaa de aawan ke liye
--MALE--
Naaz tum pe kare yeh zameen aasmaan
Dete hai yeh duaa
Taake jeeta rahe apna Hindustaan
--CHORUS--
Desh ke naam apni jawaani likhi
Yeh jawaani hai kya, zindagaani likhi
Bas yahan tak ki humne kahaani likhi
Ab likho iske aage ki tum daastaan
--MALE--
Ab likho iske aage ki tum daastaan
Farz kar do adaa
Taake jeeta rahe apna Hindustan
Doston, saathiyon hum chale
De chale apna dil, apni jaan
Taake jeeta rahe, apna Hindustan
??
Composer Version
??
No comments:
Post a Comment