Tamanna
Singers
SONU NIGAM
Lyricist
??
Composer
??
Year
??
Singer Version
Aah aah aah, aah aah aah, aah, aah aah
Zindagi to hai amal sabr ke qaabu mein nahin
Nabz ka garm lahoo thande se aansu mein nahin
Udne mein, khulne mein hai khushboo
Game gessu mein nahin
Jannat ek aur hai jo mard ke pehlu mein nahin
Uski aazaad rabish par hi machalna hai tujhe - 2
Jis mein jalta hoon, ussi aag mein jalna hai tujhe
Uth meri jaan, mere saath hi chalna hai tujhe - 2
Uth meri jaan, uth meri jaan, uth meri jaan
Uth meri jaan, mere saath hi chalna hai tujhe
Tere aanchal mein hai kirnein bhi, andheraa hi nahin
Tujhse raatein bhi mahekti hai, saveraa hi nahin
Dil mein armaan bhi hai, gham ka baseraa hi nahin
Gham ke ghanghor andhere se nikalna hai tujhe - 2
Jis mein jalta hoon, ussi aag mein jalna hai tujhe
Uth meri jaan, mere saath hi chalna hai tujhe
Uth meri jaan, uth meri jaan, uth meri jaan
Uth meri jaan, mere saath hi chalna hai tujhe
Kadr ab tak teri taarikh ne jaani hi nahin
Roshni bhi teri aankhon mein hai, paani hi nahin
Haar tune kabhi taqdeer se maani hi nahin
Tu haqeeqat bhi hai, dilchasp kahaani hi nahin
Har adaa teri qayaamat hai, jawaani hi nahin
Apni taarikh ka unwaan badalna hai tujhe
Uth meri jaan, mere saath hi chalna hai tujhe
Uth meri jaan, uth meri jaan, uth meri jaan
Uth meri jaan, mere saath hi chalna hai tujhe
Poet Version
??
Composer Version
??
No comments:
Post a Comment