23 January, 2008

Sab'r de ya mere zakhmon ko(rubayee_album)

Album / Movie
rubayee_album
Singers
PANKAJ UDHAS
Lyricist
??
Composer
??
Year
??

Singer Version

"Zindagi mere liye keemati nemat teri
Mujh ko paida kiya tuney yeh hai kudrat teri
Imtahaan loonga main do chaar baras karke gunaah
Jurm mere hain zyada ke hai rehamt teri

Khalik hai har ek shai ka, bata tu hi bata
Main banda hun aur tu hai khuda, tu hi bata
Karta hoon bura main to sazaa deta hai
Hum dono mein kya phark raha tu hi bata"

Sabr de ya mere zakhmon ko masiha de de
Sabr de ya mere zakhmon ko masiha de de
Varna phir mujh ko tadapne ka salika de de
Sabr de ya mere zakhmon ko

Thak ke be-noor hui dhoondne waali aankhein
Thak ke be-noor hui dhoondne waali aankhein
Thak ke be-noor hui dhoondne waali aankhein
Ab elahi mere pairon mein ujaala de de Sabr de ya mere zakhmon ko

Umar bhar jisne kadi dhoop mein rahat dee hai
Umar bhar jisne kadi dhoop mein rahat dee hai
Us sulagti hui deewar ko saaya de de
Varna phir mujh ko tadapne ka salika de de
Sabr de ya mere zakhmon ko

Aarzoo hai ki kisi aankh mein aansoo na rahe
Aarzoo hai ki kisi aankh mein aansoo na rahe
Aarzoo hai ki kisi aankh mein aansoo na rahe
Mere haathon mein koi aisa khilona de de
Varna phir mujh ko tadapne ka salika de de
Sabr de ya mere zakhmon ko masiha de de
Sabr de ya mere zakhmon ko

Poet Version
??

Composer Version
??

No comments: