19 January, 2008

Raat Ki Hatheli Par(Refugee)

Album / Movie
Refugee
Singers
Udit Narayan & Chorus
Lyricist
??
Composer
??
Year
??

Singer Version

Raat ki hatheli par chaand jagmagaata hai raat ki hatheli par chaand jagmagaata hai
Uski naram kirnon ki roshni mein tumko dekhta hoon to dil dhadak sa jaata hai
Dil dhadak sa jaata hai

Tum kahan se aayi ho kis nagar ko jaaogi

Sochta hoon main hairaan
Chaand jaisa ye chehra
Raat jaisi ye zulfein
Hai jagayein sau armaan
Ek nasha sa aankhon mein dheere dheere chhaata hai

Raat ki hatheli par chaand jagmagaata hai raat ki hatheli par chaand jagmagaata hai
Uski naram kirnon ki roshni mein tumko dekhta hoon to dil dhadak sa jaata hai
Dil dhadak sa jaata hai

Meri is tanhaai mein mere is veerane mein

Rang leke tum aayi
Phir bhi sochta hoon main
Kya yahan tum sachmuch ho
Ya ho sirf parchhaai
Khwaab jaisa banta hai aur toot jaata hai

Raat ki hatheli par chaand jagmagaata hai raat ki hatheli par chaand jagmagaata hai
Uski naram kirnon ki roshni mein tumko dekhta hoon to dil dhadak sa jaata hai
Dil dhadak sa jaata hai
Raat ki hatheli par chaand jagmagaata hai raat ki hatheli par chaand jagmagaata hai

Poet Version
??

Composer Version
??

No comments: