Album / Movie
ZUBEIDAA
Singers
LATA MANGESHKAR
Lyricist
??
Composer
??
Year
??
Singer Version
Hm hm hm hm hm hm hm hm hm hm hm
Hm hm hm hm hm hm hm hm hm hm hm
Ah ha ha aa aa aa aa aa
Door kahin ek aam ki bagiya
Ah ha ha aa aa aa aa aa
Door kahin ek aam ki bagiya
Bagiya mein hai thandi chhaaon
Chhaaon mein ek kachcha rasta
Raste mein pyaara sa gaaon
Gaaon mein ek chhota sa ghar
Ghar mein ek ujla sa aangan
Aangan mein chandan ka palna
Palne mein chanda sa munna
Munne ki aankhon mein nindiya
Door kahin ek aam ki bagiya
Bagiya mein hai thandi chhaaon
Chhaaon mein ek kachcha rasta
Raste mein pyaara sa gaaon
Neele neele aasmaan mein taaron ka hai ek nagar
Jagmag jagmag ek taare par ek shehzaadi ka hai ghar
Chupke chupke raat ko uthke dhyaan se dekhe koi agar
Jhilmil jhilmil hai taarein mein us shehzaadi ke zevar
Shehzaadi ithlaaye, shehzaadi yeh gaaye
Door kahin ek aam ki bagiya
Aadhi raat jab ho jaati hai, jab duniya so jaati hai
Taaron se shehzaadi utarke munne ke ghar aati hai
Meethe meethe saare sapne apne saath voh laati hai
Sote munne ki palkon pe yeh sapne voh sajaati hai
Sirhaane voh aaye, haule se voh gaaye
Door kahin ek aam ki bagiya
Poet Version
??
Composer Version
??
22 January, 2008
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment