07 November, 2007

zara si aahat hoti hai (Haqueeqat )

zara si aahat hoti hai to dil sochta hai
kahin yeh woh to nahin (3)
(repeat)

chhup ke seene mein, aaaa
chhup ke seene mein koi jaise sadaa deta hai
shaam se pehle diya dil ka jalaa deta hai
hai usi ki yeh sadaa, hai usi ki yeh adaa
kahin yeh woh to nahin (3)

shakl phirti hai, haa aa
shakl phirti hai nigahon mein wohi pyaari si
meri nas nas mein machalne lagi chingari si
chhoo gayi jism mera, kiske daaman ki hawa
kahin yeh woh to nahin (3)
zara si aahat hoti hai to dil sochta hai
kahin yeh woh to nahin (3)

2 comments:

Anonymous said...

the useful advises you presented do help our team's research for my group, appreaciate that.

- Lucas

Anonymous said...

Man, really want to know how can you be that smart, lol...great read, thanks.