Aaja sanam madhur chandni mein hum
Tum mile to wirane mein bhi aa jayegi bahaar
Jhumne lagega aasman
Jhumne lagega aasman
Kehta hai dil aur machalta hai dil
More saajan le chal mujhe taaron ke paar
Lagta nahin hai dil yahan
Lagta nahin hai dil yahan
Bheegi bheegi raat me, dil ka daaman thaam le
Khoyi khoyi zindagi, har dam tera naam le
Chand ki behki nazar, keh rahi hai pyaar kar
Zindagi hai ek safar, kaun jaane kal kidhar
Chand ki behki nazar, keh rahi hai pyaar kar
Zindagi hai ek safar, kaun jaane kal kidhar
Aaja sanam madhur chandni mein hum
Tum mile to wirane mein bhi aa jayegi bahaar
Jhumne lagega aasman
Jhumne lagega aasman
Kehta hai dil aur machalta hai dil
More saajan le chal mujhe taaron ke paar
Lagta nahin hai dil yahan
Lagta nahin hai dil yahan
Dil ye chahe aaj to, baadal ban ood jaoon main
Dulhan jaisa aasma, dharti par le aaoon main
Chand ka dola saje, dhoom taron mein mache
Jhoom ke duniyan kahe, pyaar mein do dil mile
Chand ka dola saje, dhoom taron mein mache
Jhoom ke duniyan kahe, pyaar mein do dil mile
Aaja sanam madhur chandni mein hum
Tum mile to wirane mein bhi aa jayegi bahaar
Jhumne lagega aasman
Jhumne lagega aasman
Kehta hai dil aur machalta hai dil
More saajan le chal mujhe taaron ke paar
Lagta nahin hai dil yahan
Lagta nahin hai dil yahan
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment