31 October, 2007

Aaj Ki Raat Yeh Kaisi (AMAN)

aaj ki raat yeh kaisi raat ke humko neend nahin aati
meri jaan aao baitho paas ke humko neend nahin aati)
(2)
aaj ki raat

aye yeh aaj tumhe kya ho gaya hai
ufff to apne dil ko samjaao na

machal utha yeh dil nadan bada ziddi badi mushkil (2)
khuda ko bhi manalu mein magar mane na rutha dil
tumhi dekho karo koi baat ke humko neend nahin aati
meri jaan aao baitho paas ke humko neend nahin aati
aaj ki raat

suno meri ek baat maanoge?
maanoge na!
tumhe andhere mein neend nahin aati to..
to main roshni kiye deti hoon

andhera hai to rehne do mujjasim chandni ho tum (2)
lajjaye roshni tumse ke aisi roshni ho tum
na seene se hataao haath ke humko neend nahin aati
meri jaan aao baitho paas ke humko neend nahin aati
aaj ki raat

he he he he he he he he
marungi ha!!

mile ho dil chhida ho jab koyi rangi afsaana (2)
sulane maut bhi aayeh to mein kehdunga phir aana
abhi to tum ho mere saath ke humko neend nahin aati
meri jaan aao baitho paas ke humko neend nahin aati
aaj ki raat yeh kaisi raat ke humko neend nahin aati
meri jaan aao baitho paas ke humko neend nahin aati

hmm hmm hmm

No comments: