Aisa sama na hota
Kuchh bhi yahan na hota
Mere hamrahi jo tum na hote
Mere hamrahi jo tum na hote
Mausam yeh na aata, yoon na chhaati yeh ghata
Aise gungunati, yoon na gaati yeh hawa
Gul shabnam ke moti na piroute
Mere hamrahi jo tum na hote
Raahein wohi, vaadi wohi badla kuchh nahin
Phir bhi tere milne se hai duniya kyun haseen
Kahin khwabon mein hum gum na hote
Mere hamrahi jo tum na hote
Hum tum jo na milte, to na chhaata yeh nasha
Hota kuchh bhi hota, yeh na hota jo hua
Yahan milke na dil aise khote
Mere hamrahi jo tum na hote
Aisa sama na hota
Kuchh bhi yahan na hota
Mere hamrahi jo tum na hote
31 October, 2007
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment