Ishq mein kho gaye, asar bhi nahin
Mar mite hum inhe khabar bhi nahin
Aaiye, aa jaaiye, aa hi jaaiye - 2
Yun na reh rehke hamein tarsaaiye
O aaiye, aa jaaiye, aa hi jaaiye
Yun na reh rehke hamein tarsaaiye
Shola sard sard kyoon hai
Meetha dard dard kyoon hai
Paani kyoon lage sharaara, bataana
Saansein garam garam kyoon hai
Yeh lab naram naram kyoon hai
Chhooke chhooke mere yaara, bataana
Uljhi lattein suljhaaiye
Inko sanam aise na bikhraaiye
Jaaiye, le jaaiye, dil le jaaiye
Yun na reh rehke hamein tarsaaiye
Koi pyaas pyaas hogi
Mann mein aas aas hogi
Dilbar ki talaash hogi, mehbooba
Aadhi raat raat hogi
Saari baat baat hogi
Pal pal paas paas hogi, mehbooba
Yeh pyaar na thukraaiye
Jaaneman, is pal ko mahekaaiye
Aise na ghabraaiye, na ghabraaiye
Yun na reh rehke hamein tarsaaiye
O aaiye, aa jaaiye, aa hi jaaiye
Yun na reh rehke hamein tarsaaiye
15 August, 2007
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment