31 October, 2007

Zamane Mein Sabhie Ko (Yeh zindagi ka safar)

Zamane Mein Sabhie Ko
Milte Hain Gham Tum Na Ghabrana
Yahan Har Raat Ki Subhah Hai Hamdam
Tum Na Ghabrana
Zamane Mein Sabhie Ko
Milte Hain Gham Tum Na Ghabrana

Chura Lo Tum Khushi Ke Pal
Muqaddar Ke Khazane Se
Bhala Tab Door Hote Hain
Yeh Gham Aansoon Banane Se
Tumhaare Saath Hona Ho Yeh Aalam
Tum Na Ghabrana
Zamane Mein Sabhie Ko
Milte Hain Gham Tum Na Ghabrana

Sambhal Jaao Sambhal Jaao
Abhi Gir Ke Sambhalna Hai
Utho Vaade Nibhane Hain
Utho Kuch Door Chalna Hain
Chalenge To Manzil Payenge
Tum Na Ghabrana
Zamane Mein Sabhie Ko
Milte Hain Gham Tum Na Ghabrana
Yahan Har Raat Ki Subhah Hai Hamdam
Tum Na Ghabrana

30 October, 2007

Aankh Hai Bhari Bhari - Female (TUM SE ACHCHA KAUN HAIN )

InfoPoet VersionSinger VersionComposer VersionTranslatations


Poet Version
Coming Soon

Singer Version

(Aankh hai bhari bhari aur tum
Muskuraane ki baat karte ho) - 2
Zindagi khafa khafa aur tum
Dil lagaane ki baat karte ho
Aankh hai bhari bhari aur tum
Muskuraane ki baat karte ho
(Mere haalaat aise hai
Ke main kuch kar nahin sakti) - 2
Tadapta hai yeh dil lekin
Main aahein bhar nahin sakti
Zakhm hai hara hara aur tum
Chot khaane ki baat karte ho
Zindagi khafa khafa aur tum
Dil lagaane ki baat karte ho
Aankh hai bhari bhari aur tum
Muskuraane ki baat karte ho
(Zamaane mein bhala kaise
Mohabbat log karte hain) - 2
Vafa ke naam ki ab to
Shikaayat log karte hain
Aag hai bujhi bujhi aur tum
Lau jalaane ki baat karte ho
Zindagi khafa khafa aur tum
Dil lagaane ki baat karte ho
Aankh hai bhari bhari aur tum
Muskuraane ki baat karte ho
(Kabhi jo khwaab dekha to
Mili parchhaaiyaan mujhko) - 2
Mujhe mehfil ki khwaahish thi
Mili tanhaaiyaan mujhko
Har taraf dhuaan dhuaan aur tum
Aashiyaane ki baat karte ho
Zindagi khafa khafa aur tum
Dil lagaane ki baat karte ho
Aankh hai bhari bhari aur tum
Muskuraane ki baat karte ho
Mm hm hm hm hm hm hm hm hm hm - 2




^Top^
Composer Version
Coming Soon

Translations
Coming Soon

Informations


Coming Soon

Aa Ab Laut Chalen (Aa Ab Laut Chalen)

InfoPoet VersionSinger Version •  Composer VersionTranslatations


Poet Version
Coming Soon

Singer Version

Dulhan Si Saji Dharti Khula Yeh Aasman
Bulata Hai Humein Phir Woh Chaahat Ka Samaa
Aa Ab Laut Chalen ...


Anjaan Tha Maein Naadan Tha Maein
Tere Pyar Ko Jo Na Samajh Paaya
Tune Itna Bechain Kiya
Maein Tere Paas Chala Aaya
Teri Saansein Mera Jeevan
Mere Dil Mein Tera Ghar Hai
Zara Dekhe Koi Isko
Yeh Jannat Se Bhi Sundar Hai
Bina Tere Nahin Chaina
Nahin Chaina Yahaan
Aa Ab Laut Chalen ...


Pal Ke Liye Ek Din Ke Liye
Na Door Maein Tujhse Jaungi
Teri Palkon Ki In Galiyon Mein
Sapno Ki Sej Sajaungi
Tujhe Dekhun Tujhe Chaahun
Teri Khushboo Mein Kho Jaun
Yahi Meri Tamanna Hai Teri Baahon Mein So Jaun
Dard-E-Dil Nahin Sehna
Nahin Sehna Yahaan
Aa Ab Laut Chalen ...


^Top^
Composer Version
Coming Soon

Translations
Coming Soon

Informations


Coming Soon